Mumbai, ek aisi city jo ghadi ke minute hand se jyada tej bhagti hai. Yaha logon ko ekdusre ki taraf dekhne ka samay bhi nahi milta. Subah 7.27 ki fast local aur sham ko 6.35 ko fast local bas isme hi sabki dunia simat jati hai.
Aisi fast life me jaha har koi bhag raha tha wahi dheere dheere panap rahi thi ek khubsoorat prem kahani.
Prayag, 23 saal ka simple and ordinary ladka, sapne bade bade, director banke use world ki sabse badi romantic movie banani thi isliye woh direction me diploma kar rha tha. Churchgate me ek apartment me rehne wala Prayag subah college aur sham project me busy rehta tha. Hamesha hardwork krne wala Prayag use bas ek hi chij apne work se distract krti thi aur woh hai Rahul.
Rahul, 25 saal ka engineer, job krta tha andheri me. Daily routine morning me 7.27 ki fast local pakadke office aur sham ko 6.35 ki local pakadke wapas churchgate apne ghar. 2 saal se Rahul job karta tha par kabhi aajtak uski local train miss nahi hui. Abto train me sab ekdusre ko pehchanne bhi lag gaye the.
Prayag hamesha Rahul ko notice krta tha, attention deta tha aisa par pata nahi kyu Rahul ne kabhi is baat ko notice nahi kiya kyunki Prayag ko sirf aisa lagta tha ke woh Rahul ko so called line mar raha hai jabki Rahul ke samne aate hi uski fat jati thi, pasine chutne lagte aur kya bolu use kuch samajh nahi aata tha. Inshort apne aap ko CHHAVA (stud) samajhnewala Prayag reality me pyaar ke mamle me bada fattu tha. Rahul aur Prayag ek hi apartment me rehte hai bachpan se, dono ek dusre ke dost bhi hai par sirf hi,hello wale kyunki hamare Maharaj Prayag ko jabse feelings aana start hogaya tabse Rahul ke samne unki hawa nikal jati hai isliye woh kabhi hi,hello se jyada bolta hi nahi aur isiliye ye bachpan se chali aarahi one sided love story aajtak one sided hi rahi…!
Today:
Aaj Sunday tha aur Prayag bore ho rha tha isliye terrace pe aakar basketball basket me dalne ki practice kar raha tha. Tabhi waha Rahul aake Prayag ke piche khada hogaya. Rahule ke aane ki bhanak Prayag ko hogayi thi and isiliye because of Rahul’s magnetic force of attraction hamare Hero ka ek bhi ball basket me nahi gira. Prayag ekdam se nervous hogaya tha Rahul ke deo ki smell aane se( you can say seduce). Continue 5-6 baar misfire hota dekh Rahul has pada aur bola,
“bhai, ek bhi ball basket me nahi gayi aaj kya hogaya tujhe? Kaha dhyan hai?”
Rahul ki awaaz sunke Prayag jhat se piche muda aur ekdam se uske muh se nikal gaya,
“bhai??? Me kisika bhai nahi hu…”
“ hehehee, achha can I try??” Rahul ke request ko Prayag to mana kar hi nahi sakta tha aur uper se uske basketball ko Rahul hath laganewala tha ye sochkr to woh kuch jyada hi khush hogaya.
“ hey Prayag tum bollywood me janewale ho na? movies direct karnewale ho?” Ball basket me fekte fekte Rahul ne Prayag se pucha.
“Ha but tujhe kaise pata?” Rahul ko uske bare me sari khabar hai ye sunke Prayag ne excitement se pucha.
“woh actually tumhari mom mere ghar aayi thi to unhone bataya. So Director sahab ab to tum TV pe hi dikha karoge na aage se.”
“hehehe, are aisa kuch nahi hai abhi to sikh rha hu aage bahot struggle karna hai. Waise tumhe movies me interest hai?” Prayag ne pucha.
“ No I dnt like movies, Hollywood movies to me dekh leta hu but ye bollywood love stories to mera dimag short krti hai.. its just bullshit.” Basket pe nishana lagate huye Rahul ne kaha.
Rahul ke is jawab ne to Prayag ke dil ke armaan aasuon me baha diye, warna ab Prayag apne dream ko explain krnewala tha.
“chalo yaar Rahul me chalta hu mujhe thoda kaam hai bye..”
apne badhte nervousness ko chupane ke liye Prayag waha se chala gaya aur jate jate hindi filmon ki tarah woh bich me ruka aur piche mud ke dekhne laga kahi Rahul dekh to nahi raha aur may be Rahul ne man me socha ho ‘agar Prayag mujhe pyaar karta hai to piche jarur mudega’, par jaise hi usne piche mudkar dekha, Rahul apne kisi frnd se baat kar rha tha aur woh baton me itna busy hogaya tha ke Prayag use dekh rha tha ye bhi usne notice nahi kiya. Ab ye dekhkar Prayag daudta hua apne room me aaya aur apne aap pe frustration nikalne laga.
“ Aunty Namaste, ye Prayag ghar per hai kya?”
“ are Bunty, Raju tumdono? Aajao ander, Prayag uske room me hai” Prayag ki mom ne room ka raste dikhate huye kaha.
Bunty aur Raju Prayag ke college frnds jo Prayag ke gay hone ke bare me jante the and unhe isse koi prblm nahi thi kyunki unke liye ye ek mamuli baat thi and unke kai sare gay frnds bhi the.
“ omg, abe itne sare pages kyu fad ke rakhe hai kya horaha hai ye?” dono ne Prayag se pucha.
Prayag ne unhe puri story batai, “ yaar sach me yaar me Rahul ko bahot jyada like karta hu par pata nahi uske samne aate hi meri hawa tight hojati hai. Sochta hu usse ye baat karunga woh baat karunga par jab woh samne aata hai me kuch bol hi nahi pata. Dil ki itni sari baate use batani hai, ekbaar uska hath pakadke use I LOVE YOU bolna hai par yaar me kuch kar hi nahi pata. Aur uper se woh bhi mujhe bilkul bhav nahi deta yaar kya karu samajh me nahi aarha hai yaar… I miss him so much…”
Bolte bolte Prayag apne hi agar sapno ki dunia me kho gaya.
“oye ye sab to thik hai par agar Rahul straight nikla to?” Raju ne interrupt krke pucha.
“are nahi he is interested in men I knw that bcz me uske sath meri fake ID se chat karta hu na facebook pe” Prayag ne aankh marte huye kaha.
“oye tu to sach me usse bahot pyaar karta hai re. Ab to teri help karni hi padegi. Waise bhi hum directors hai yaar hum love stories banate hai teri bhi bana denge. Aur yaar tu khud itni hindi movies dekhta hai kuch sikha nahi kya usse kaise pataye apne bf ko???” Raju bol rha tha tabhi bunty bol pada,
“ yaar hindi movies nahi yaar english movies se koi Idea churana hoga woh kafi creative ideas late hai”
“o hello hum Ideas churate nahi hai kabhi, use bolte hai inspire hona, sahi words use kiya kar apni bollywood ki bhi koi respect hai samjha”
“oye tumdono jhagda karna band karo aur mujhe Rahul ko patane ke Ideas do” Prayag ne irritate hote huye kaha.
“ ok Prayag sahab, we are on mission, aaj raat ko sari English romantic movies dekh lete hai aur kal tujhe yaha waha se mix karke ek jabardast Idea batayenge, thik hai na?”
====================================================================================
Next day:
Raju aur bunty Prayag ko hi dhundh rhe the college me aur fir jaise hi prayag dikha dono tut pade uspe.
“Dude ek zakkas plan hai, kal humne bahot sari movies dekhi and finally hame pasand aaya Titanic ka plan”
“what Titanic ka plan?” Prayag ne curiosity se pucha.
“ dude, Titanic se tune kya sikha? Ek lukkha ladka 3din me ek high class ladki ko pata leta hai and u knw kaise?”
“kaise?” Prayag confused horha tha use samajh nahi aarha tha ye Raju kya bol rha hai.
“abe gadhe… heroin uski deewani kyu hoti hai? Uski drawing dekhke… woh jo pictures nikalta hai use dekhke.”
“o hello excuse me, me koi painter nahi hu aur uper se waisi wali pics nahi nikalunga me .. ha agar Rahul ko khud ki nikalni ho to me try kar sakta hu” Prayag ne naughty hote huye kaha.
“hey bhagwan is pyar ke deewane ka kya hoga? See, use movies pasand nahi to tu woh talent dikhayega to bhi use koi fark nahi padega isliye tu use attract kar drawing se just like TITANIC aur impress karne ke liye drawing book bunty tujhe lakar dega bas woh book tu uske samne leke baithiyo. Done…..”
At evening,
“samajh me aaya plan? Tu lawn me baithega jab Rahul aate huye dikhega and bas impress karna shuru kar de ok? No nervousness..”
“ok ok par ye bunty abhitak book leke aaya kyu nahi?”
“dhan tanan……. Ye lo drawing book” Bunty ne bade garv se book Prayag ke hath me di.
“Dude, whats this?” Raju ne gusse se kaha.
“are drawing book hai na tune hi to bola tha lane ko.”
“ abe ullu ke patthe, ye 2nd std ki drawing book hai, mujhe kisi bachhe ko impress nahi karna” Prayag fir se irritate hogaya.
“yaar ab woh pehle batana chahiye tha na mujhe kya pata… “ Bunty ne avoid krte huye kaha.
“arerererereree…….. woh dekh Rahul aarha hai ja bhag Prayu” Raju ne jor se kaha.
“are par ye book leke kaise jau me?”
“are yaar koi fark nahi padta yaar insab baton ka pyaar me tu bas jake baith ja” bunty ne apni galti chupane ke liye kaha.
Rahul ke aate dekh Prayag lawn me aisi jagah baitha jaha se Rahul ki najar uspe pade aur waise hi hua. Rahul ne use dekha, Prayag book khol ke pencil se uspe overwrite kar rha tha aur Raju Bunty chup ke sara drama dekh rhe the.
“ hey tum yaha kya kar rhe ho?” Rahul Prayag ke pass jakar baith gaya.
“kuch nahi yaar sham ka time hai itna achha mausam hai to hobbies ko explore kar rha hu.”
“wow tum painting bhi karte ho? Multitalented ha, that’s really great. Mujhe to dikha kya paint kar rha hai?”
“ ha wo….. wo…………..” as usual Prayag ki bolti band hogayi thi.
Rahul ne book me jhanka aur jor jor se hasne laga. Rahul ki hasi dekhkar Prayag gusse me aagaya par gussa Rahul pe nahi tha woh to kabhi ho bhi nahi sakta woh to man me bunty ko gaaliya de rha tha.
Rahul ko Prayag ke change huye bhav samajh me aagaye aur usne apni hasi control karte huye kaha,
“ its ok yaar har kisiki alag alag hobby hoti hai, main thing hoti hai apne hobby ko explore karna that’s it. Aur ye drawing book mujhe bahot pasand hai bachhon ki kyunki bachhe kitne cute hote hai na. I just love kids..Chalo me chala ghar bahot bhook lagi hai”
Rahul waha se utha aur ghar ki taraf badhne laga. Chalte chalte Rahul ne piche mudkar dekha to yaha Prayag book me muh dalkar Bunty ko gaaliya de rha tha man hi man me.
“saale gadhe kutte kamine, saale teri wajah se mera itna bada popat hogaya uske samne tu to gaya kaam se “ Prayag gusse me Bunty ke piche bhagnelaga use marne ke liye.
“are Prayu ruk yaar control, u knw Rahul jate jate ham ek naya idea bata ke gaya.” Raju ne Prayag ko rokte huye kaha.
“konta Idea?” Prayag fir se confused.
“ kal ka naya plan… Rahul ko chote bachhe bahot pasand hai na. Ab hum kal use chote bachhe se milwayenge… yessssssssssssss”
Bunty aur Raju ka confidence dekhke Prayag fir se tention me aagaya.
“hey bhagwan ab tum kya karnewale ho?”
“ Don’t worry Prayu, hum dono teri love story bana kar hi rahenge ye hamara vadaa hai, trust me”
Prayag apne question mark wale chehre ko leke ghar chala gaya.
===================================================================================
Next Day evening:
Prayag lawn me khada Raju aur Bunty ka wait kar rha tha aur tabhi dono aagaye.
“ ye le baby……hushhhh kitni mehnat se leke aaye hai hum” Raju ne bachha Prayag ke hath me diya.
“hey kitna pyaara baby hai, kiska hai? And mehnat karke laya means?”
“are woh chhod na bas 10min ka episode kar aur fir hum use wapas chhod ke aayenge”
Prayag Rahul ke aate hi bachhe ko god me khilane laga aur jor jor se bachhe se baate karne laga taki Rahul ko uski awaaz jaye and plan successful Rahul bachhe ko dekhke Prayag ke pas aagaya.
“hey kitna cute bachha hai kiska hai?”
“ wo……. Wo….. wo… ha ek uncle ka hai”
“ohh how sweet and dekh to kitna has raha hai tere sath khelke, mujhe nahi pata tha tujhe bachhe itne pasand hai.”
“ha yaar mujhe bachhe bahot pasand hai and pata hai kyu, kyunki ye kitne masoom hote hai, na nafrat na kuch sirf pyaar dete hai sabko.. u knw hame inse sikhne ki jarurat hai ke real love kaisa hota hai.”
“ohoo kya baat hai yaar I am impressed by ur thoughts, really great.”
Rahul bachhe ke sath khelne laga aur yaha Prayag ki tention badhne lagi.
“hey tujhe aaj bhuk nahi lagi? I mean aaj tu bata relax hai” Rahul ko bhagane ke liye Prayag ne bola.
“are nahi aaj pata hai office ke bahar panipuri wala khada tha so hum frnds ne milkar panipuri kha li aur jab panipuri ka naam aata hai me apne aap ko control nahi kar pata. Maine to itni kha li ki ab bhuk hi nahi hai”
Rahul ka jawaab sunkar Prayag tention me aagaya aur use bhaganeke liye kuch reason sochne laga.
Aur tabhi ek aurat bhagte huye waha aayi. Pasine se pani pani hogayi thi. Prayag ke pass aakar jor se chillane lagi,
“Prayag tum pagal ho kya bina puche bachha le jate ho, pata hai me kitna dar gayi thi heart attack aajata abhi. Atleast bolke to jata, abhi me police complaint krnewali thi aur agar itna hi shauk hai na bachhe palne ka aur khilane ka to khud ke paida kar aur jitna marji khila use”
apna bhashan jhadkar aurat bachhe ko le gayi aur yaha Prayag dekhta hi reh gaya. Aunty ke last sentence ko sunkar Rahul jor jor se hasne laga aur ye dekhkar Prayag embarrassed feel karne laga.
“ kuch nahi yaar hota hai kabhi kabhi its ok”
apni hasi dabate huye Rahul waha se chala gaya jate jate usne fir se mudke dekha to Prayag niche dekhke Raju aur Bunty ko galiya de rha tha.
“yupieeeee, next plan is panipuri....” Bunty bola.
“fuck off guys, mujhe ab tumhari koi help nahi chahiye. Pehle woh bachhon wali book aur ab ye churake laya hua bachha… Rahul pate ya na pate par tumhari sununga na to me jarur puri society me badnaam hojaunga so no more help…thnx” Prayag ne gusse se kaha.
“oye pehli baat woh book ye gadha leke aaya tha warna hamara plan to hit tha, dusri baat woh bachha chori ka nahi tha woh to garden me khel rha tha to maine kaha akele khelne se achha hamare sath khelo. Aur tisri important baat, kal Rahul ne book dekhke bola ke he like kids, aaj usne bola he loves panipuri pata hai kyu? Bcz use tera effort dikh rha hai and woh chahta hai tu uske liye aur kuch kar isliye woh tujhe hint de rha hai roj roj warna soch koi apni liking roj roj kyu batayega aur woh bhi har roj ek ek..” Raju apna ‘extra talented’ dimag laga ke logic dhundh rha tha.
“really?” and yup hamara hero once again confused.
“yesssssssss……… and ab Rahul chahta hai ke tu panipuri khaye”
“matlab? Hamare society me to panipuri wala hai hi nahi?”
“hehehhe woh tum mujhpe chhod do… matlab ye ki kal sham ko tumdono eksath ek plate me panipuri khaoge. Aur plate share krte krte apna dil bhi share kar loge.”
planning aur logic bana bana ke ab Raju apne aap ko James bond samajhne laga tha. Aur Prayag aur bunty Raju ka chehra dekhne lage aur sochne lge ke ye aage kya karnewala hai.
=====================================================================================
Next Day evening:
“are yaar saabji aapko panipuri khani ho to khao nahi to mujhe jane do yaar aadhe ghante se rok ke rakha hai khate bhi nahi aur jane dete bhi nahi”
Raju ek panipuriwale ko Prayag ki society ke bahar leke aaya tha paise dekar.
“ oye ruk yaar tujhe paise mil rahe hai na rukne ke to chupchap ruk. Ab jise khilani hai panipuri wahi nahi aarha hai to hum kya kare” raju baar baar road ki taraf dekhke Rahul ka wait kar rha tha.
“ khair chhodo… achha plan to samajh me aaya na tumhe, dekh Prayag jaise hi Rahul dikhe tum samne se chalte huye aana aur fir tumhari najar padegi panipuri pe aur samne se aayega Rahul to tum use rok kar bologe ke Rahul aaja panipuri khate hai samjha na? and real lagni chahiye acting” Raju explain kr rha tha.
“ha done… me samajh gaya.” Prayag ne ha me sir hilaya.
“aur tum Panipuri wale bhaiyya jab ye dono tumhare pas aaye to tumhara dialog hoga ke are yaar mere pas sirf ek hi plate bachi hai kyunki mera chat itna famous hai ke jaldi hi khatm hojata hai. Aur fir tum indono ko ek hi plate me panipuri doge”
“ha samajh me to aaya par aisa kyu? Koi lafda to nahi hai na bhaisaal. Ek plate panipuri khilane ke liye aap mujhe itni dur se lekar aaye aur paise bhi de rhe ho” Panipuriwale ne pucha.
“ha beta, tere panipuri me zeher dalke marna hai us ladke ko…..oye jitna bola na utna kariyo bas jyada sawaal na kar tu mujhse smjha na…. paise le aur khush reh. Samajh yaar kuch pyaar ka mamla hai” bunty ne aankh marte huye panipuriwale ko samjhaya.
“ dekho jab action bolu tab apni acting shuru kr dena tumdono.” Raju ab to apne aap ko ek bada director bhi samajhne laga tha.
Aur phir achanak Rahul samne se aata hua dikha aur inki acting shuru hogayi.
Plan ke mutabik Prayag ne Rahul ko panipuri khane ke liye bulaya.
“sorry yaar aaj me panipuri nahi kha sakta, actually kya hua na office me kisiki bday party thi so itna nashta kar liya ke bhuk hi nahi hai. Maine to mummy ko bhi khana banane se mana kr diya tha aaj and isiliye me late bhi hogaya. Sorry tu kha le nxt time khate hai sath me. Ya to ek kaam kar tu kha me rukta hu tujhe company dene ke liye.”
Rahul ka jawab sunkar Prayag ka pura mood off hogaya.
“nahi yaar rehne de fir waise aaj mujhe bhi jyada bhuk nahi hai. Next time hi khate hai..”
Inka conversation sunkar Panipuriwala bhadak gaya.
“ abe oye pagal hai kya tu, ek to mujhe 1ghante se rok ke rakha yaha aur ab bol raha hai khana nahi hai. Dekho tumhe jo karna hai karo mera dimar kharab mat karo mujhe mere paise dedo aur jane do. Pata nahi kiska muh dekh liya jo in gadho se pala pad gaya.”
“ 1ghante se rok ke rakha? Paise de do? Means? Ye kya horha hai?” Rahul ne Prayag se pucha.
“are pata nahi, chhod ye log to kuch bhi bolte rehte hai”
“achha thik hai chal me chalta hu ab jor se toilet lagi hai and ab control nahi horha. Chal bye”
Rahul waha se chala gaya.
Prayag gusse se Raju ki taraf dekhne laga.
“oye ab meri kya galti hai isme woh bahar se khakar aaya hai to. Aur tu chatwale bhaisaab uske samne chapad chapad karne ki kya jarurat thi? Chal tere paise cut ye le aur bhag yaha se kamine”
Prayag ko udas dekhke Bunty uske pas gaya aur bola,” don’t worry prayu hamare pass bahot plans hai. Bas ab thoda effective plan sochna padega”
“O hello excuse me, ab apne ghutne pe jor mat dalo jyada and plz now no more plans jo hona hai woh apne aap hojayega aur jo karna hai woh me khud karunga ab tumhari koi help nahi chahiye mujhe.” Prayag bahot gusse me tha.
“are prayu tu gusse me hai isliye aise bol rha hai, tu jake aaram kar aur baki sab mujhpe chhod de me kuch aur sochta hu” Raju ne Prayag ko shant krne ke liye kaha.
“yaar plz kuch soch mat, woh bachhon ki book, bachha churana aur ab ye panipuriwala kharidke lana.. damn yaar woh Rahul mujhe kya samajh rha hoga ke me kitna cheap hu kitta bada gadha ullu ka pattha hu….. and thnx to u ye sab tumlogon ki wajah se….. so ab no more plans ok? Jao ab ghar me bhi ja rha hu” kehkar Prayag ghar chala gaya.
“yaar ab kya kare” Bunty ne Raju se pucha.
“ yar sach me shayd humne pagalpanti kar di aur kuch din shant rehte hai taki Rahul ko shaq na ho. Aur prayu ke baat ka bura mat manna woh naraj hai isliye aise bol gaya” Raju ne Bunty ko samjhate hue kaha.
“are koi na, mujhe bura nahi laga. Chal ghar chalte hai” Raju aur Bunty ghar chale gaye.
=====================================================================================
3-4 din tak unhone koi plans nahi kiye aur embarrassment ki wajah se Prayag bhi Rahul ke samne nahi aaya.
After 6 days :
Prayag college aaya tha par uska man nahi lag raha tha lecture me. Ye dekhkar Bunty ne usse wajah puchi to usne bataya,
“yaar aaj subah subah Rahul ko hospital me admit kiya hai use maleria hua hai. Me jane wala tha use dekhne to mom ne mana kar diya bolti hai clg khatm karke aaja fir chale jana.”
“wow zakkasss… ye hui na baat ab aayega maja” Raju ne excitement se kaha. Raju ki baat sunke dono use strange look dene lage to Raju ne apni baat clear ki,
“guys dnt take me wrong, Rahul ke sath jo hua usse me khush nahi hua, bura hua par me is baat se khush hu ki ab Prayag ko apni image uske samne clear krne ka mauka mila hai”
“matlab? Ab kya karu me?”
“see, tu sham ko mat ja use dekhne, raat ko ja khana khake aur flowers leke ja aur fir jab jayega to waha uski mom ya dad honge raat bhar rukne ke liye to tu unhe ghar pe bhej diyo bahana banake aur raat bhar wahi ruk jaiyyo aur firrrrrr woh to tu aur puri raat akeli……. Use achhe se jaan lena apna impression dal dena. Ek tir se tin nishan… Rahul, mom and dad woh tujhe susanskari boy next door samajhne lagenge.”
“wow that’s great idea” Prayag khush hokar ghar chala gaya.
=====================================================================================
In hospital:
Prayag Rahul ke liye flowers leke aaya aur kuch dialogs bhi rat liye the usne. Jaise hi usne room me enter kiya Rahul ne use pyari si smile dekar welcome kiya aur Prayag apne rate huye sare dialogs bhul gaya.
“ kaisi hai ab tabiyat Rahul?” Prayag Rahul ke bed ke pas wali chair pe baitha aur baat karne laga.
“ab to thodi thik hai bas thoda sa sirdard hai” Rahul ne reply kiya.
“ohhh fir to aaram karo tum aur uncle aap kaise hai?” Prayag ne Rahul ke dad se pucha.
“ are me to mast hu yaar tu kaha rehta hai aajkal dikhai hi nahi deta”
“are papa woh ab bada director banne wala hai bade log hai kaam me busy rehte hai.” Rahul ne Prayag ki tang khechte huye kaha.
“are nahi uncle aisa kuch nahi hai iski baat mat suno aap……..”
Aur aise karke sabki baate shuru hogayi aur fir thodi der baad Prayag ko andaja hua ki raat horhi hai aur woh soch raha tha ke uncle ko kaise bolu aap ghar chale jao aisa bolne me use bada ajib lag rha tha aur himmat bhi nahi horhi thi. To finally woh utha aur bola,
“achha chalo fir meeeee chalta hu, thik hai na?” Prayag ne bol to diya par uska jane ka bilkul man nahi tha.
“ha thik hai chal bye and thanks for coming” Rahul ne Prayag ko smile deke bola.
Prayag utha aur darwaje ke taraf muda aur soch rha tha ke kya bahana banake aur thodi der ruk jau. Tabhi use Rahul ki awaz aayi, woh apne dad se bol rha tha
“Papa aap bhi Prayag ke sath nikal jao na dinbhar ofc me rehkar aap bhi thak gaye honge ghar jake aaram karo ab me thik hu yaha.”
Rahul ki ye baat sunte hi Prayag palat gaya ab woh khush hogaya tha kyunki use rukne reason mil gaya tha. Usne wahi point pakad ke rakha aur samne aakar uncle se bola,
“ uncle Rahul sahi keh raha hai aap thak gaye honge na aap ghar jao aur aaram karo”
“ are nahi yaha rukna padega na iske pass ise glucose chadh rha hai dekhna to padega aur waise bhi ise yaha akela chhodkar mera ghar pe man bhi nahi lagega so its better me ruk jau” Dad ne bol diya.
“ are uncle aap ghar jao me rukta hu yaha Rahul ke pass raatbhar” Prayag ne finally apne dil ki baat bol hi di uske heartbeats badhne lage the aur usne man me hi than liya tha ki agar uncle ne mujhe aaj rukne nahi diya to me inse kabhi baat nahi karunga.
“are nahi beta tumhe bilfaltu me taklif hojayegi” uncle ne mana karte huye kaha. Aur is baar Prayag ka hindi movies ka bhoot asar kar gaya aur usne dialog marna shuru kar diya,
“kyu uncle isme taklif kis baat ki agar Rahul aapka beta hai to kya me nahi hu?”
“are aisi baat nahi hai beta parrr”
“par var kuch nahi, its final me yaha ruk raha hu aur aap ghar ja rhe ho aur aaram karne wale ho.”
“thik hai beta, me jata hu”
Rahul ke dad chale gaye aur Prayag ne room ka door band kar diya aur Rahul ke bed ke pass aakar baith gaya. Sirf dono ek hi room me ye sochkar Prayag bahot nervous hogaya, kya bolu kya nahii yahi sochta reh gaya dil me.
“itna shant kyu baitha hai tu? And itna nervous kyu lag rha hai? Any prblm?” Rahul ne Prayag se pucha.
“ achha tujhe nind aarhi hogi na? me tujhe story sunau?” Prayag ne hadbadake pucha.
“what? Story? Me bachha hu kya?” Rahul ne haste huye kaha.
“sorry yaar actually me pehli baar hospital me ruka hu na to mujhe pata nahi hospital me kya baat karte hai aur tujhe aise bed pe lete huye glucose chadhate huye dekhke mujhe bada ajib lag rha hai pata nahi kyu”
Prayag ki baate sunke Rahul ke chehre pe smile aagayi woh Prayag ki taraf dekhne laga. Ab Prayag ki nervousness bahot kam hogayi thi. Kya bolu kya nahi ye sochte sochte hi puri raat gujar gayi.
Rahul sogaya tha aur Prayag uske chehre ko ektak dekhta hi reh gaya. Sote huye Rahul ko usne pehli baar dekha tha aur aaj use ye eksaas horha tha ke Rahul kitna khubsurat hai, Rahul chehre se uski najar hat hi nahi rahi thi. Mauke ka fayda utha ke Prayag ne Rahul hath apne dono hath me le liye aur uspe sir rakhkr bhagwan se prayer karne laga. Aur aise me use kab aankh lag gayi pata hi nahi chala.
Next morning Rahul ki ankh khuli to usne dekha Prayag uske hath pe sir rakh ke sorha tha. Usne smile ki aur hath uske sir se nikalne ki koshish krne laga aur tabhi Prayag ki aankh khul gayi.
Aankh khulte hi Rahul ka chehra samne pa kar Prayag ko laga ye uska sapna hi hai isliye woh Rahul ki taraf dekhkar smile karne laga aur gud mrng bolke usne fir se aankhe band kar di. Rahul ko laga ab ye uth gaya hai to sir hata dega par usne aisa nahi kiya to Rahul dheemi awaaz me bola,
“dude, mera hath dard kar kr rha hai” Prayag ne aankhe kholi aur aalas deke fir band kr di use abhi bhi sapna hi lag rha tha. Rahul fir se bola,
“dude????? Uth ja mere bhai”
Ab bhai sunke to Prayag hadbadake uth gaya. Tabhi Rahul ki mom aagayi,
“hey gud mrng Prayag, dhanyavad raat bhar rukne ke liye. To kaisi rahi raat is hospital me?” Mom ne pucha.
“aunty bahot achhi thi night. Ab dekho ise fever bhi nahi hai. Chalo ab me chalta hu agar kisi chij ki jarurat ho jarur bata dena aunty.”
“ are itni gadbad kyu kar rha hai jane ki ruk to maine tere liye chai layi hai pi le fir jaiyyo”
“are nahi pehle fresh hojau naha lu uske baad hi chai pita hu me. So ab chalta hu” Prayas ne bathroom me jakar muh pe pani mara aur nikalne laga tabhi Rahul ne use piche se awaaz lagayi,
“Prayas ek sawaal puchu?”
“ha bol na.”
“ ye flowers tu kiske liye leke aaya tha?” Rahul ne Prayag ke maje lene ke liye pucha.
“oh shit oh shit oh shit………. Me to bilkul bhul gaya. Dumbo hu me. Me to ye flowers tere liye leke aaya tha.”
“mere liye?” Rahul ne surprising look diya to Prayag ki nervousness aur badh gayi.
“nahi tere liye nahi wo….wo……wo me to doctor ke liye leke aaya tha unhone itna achha treatment kiya na tera isliye”
“hehehhee are maine majak kiya, ab de to de flowers mujhe” Rahul ne haste huye kaha.
“and waise tujhe kisine bataya ke tu bahot bada cartoon hai :P “ Rahul ab Prayas ke nervousness ke maje lene laga tha.
Prayas flowers deke waha se chala gaya.
“ye ise kya hogaya aaj? Aise kyu behave kar rha tha? Par bahot achha hai na dil ka raat bhar ruka raha yaha” Mom ne Rahul se kaha.
“pata nahi use kya hojata hai bich bich me par cute hai” Rahul door ki taraf dekhkar smile karne laga.
Prayag aaj to bahot khush tha. Mano use sab mil gaya. Itna khush to woh aajtak kabhi nahi hua tha.
====================================================================================
Sham ka time tha. Prayag college se ghar aaya Rahul ki mom uske ghar pe baithi thi. Ye dekhkar Prayag excited hogaya.
“hey aunty Namaste.. kaise ho aap?”
“me to bahot achhi hu”
“pata hai Shital aunty tere liye sweets leke aayi hai tune unki help ki isliye” Prayag ki mom ne use bataya.
“ohh iski kya jarurat thi aunty, waise aunty me aapke liye pani leke aata hu ek min”
“ are nahi mujhe pani nahi chahiye”
“are aunty aap aate aate thak gayi hongi na wait me lekar aaya”
“Prayu, Shital aunty apne uper wale floor pe hi rehti hai aur woh bhi lift se aayi hai” Prayag ki mom ne Prayag ko yaad dilaya.
“ohh ha aap to uper hi rehte to, me to bhul hi gaya tha…fir..fir.. achha chai, aap mere hath ki kadak chai piker dekhiye maja aajayega aapko”
“achha thik hai chal pila chai” Rahul ki mom ne haste huye kaha aur yaha Prayag ki mom confused hogayi uska aise behavior dekhke. Aur fir dono baate karne lagi aur yaha Prayag kitchen me chai banane laga.
“achha Shital fir ab to Rahul ko job bhi hai aur umer bhi hochali hai ab shadi karwa hi de uski” Prayag ki mom ne kaha. Par jaise hi shadi ki baat suni Prayag kitchen se chilla pada.
“shadi???????????? Aur itne jaldi? Abhi use settle to hone do”
“ha Rahul bhi yahi bolta hai ke abhi woh shadi nahi karega aur jab bhi shadi karega to love marriage hi karega. Bolta hai mere najar me koi hai jab uski taraf se bhi ha ajayega to me bata dunga ghar pe.
Ye aajkal ke ladke to bade forward hote ja rhe hai. Isne bhi dekh ke rakhi hogi koi ladki kyu Prayas?”
Rahul ki mom ne Prayas se pucha par yaha Prayas to full depression me chala gaya Rahul ke pyar ke bare me sunkar
“aunty ye lo chai, me chalta hu kuch notes banane hai”
“ab ise kya hogaya achanak se”
“ignore kar use ye artistic log aise hi hote hai inke mood ka kabhi koi thikana nahi hota” Prayag ki mom ne chai ki ek sip li,
“oh my god is ladke ne to chai me chini bhi nahi dali, ruk Shital me lati hu chai banake”
Yaha room me jakar Prayag bed me let gaya aur Rahul ki mom ki baat yaad kar kar ke takiye me muh dal ke jor jor se rone laga.
Dusre din apna udas chehra leke Prayag college gaya. Usne Raju aur Bunty ko sari baat bata di. Ye baat sunke to woh bhi dang reh gaye.
“yaar aise kaise, mujhe to lag rha tha woh tujhe full line de rha hai aur ab ye uski gf bahar aagayi…had tere ki” Bunty bhi udas hogaya tha is baat se.
“wait, Rahul ladkon me interested hai so woh tere pass aasakta hai aur jaise ke uski mom ne kaha ki Rahul kisike ha ka intezaar kar rha hai……… to ab mere ander ka James Bond jagrut horha hai.”
“oye ye bol rha hai tu?” bunty ne interrupt karte huye kaha.
“I mean to say ke hum uski love story bigad denge aur use Prayag ki taraf khich ke layenge. Rahul ne mujhe aur bunty ko nahi dekha is chij ka hum fayda uthayenge aur karenge Rahul ki jasusi.”
“oye nahi tum aisa kuch nahi karoge, woh us ladki se pyaar karta hai yaar … promise me ke tum dono unke bich me kuch prblm create nahi karoge”
“ha baba thik hai par atlelast jasusi karke pata to kare ke woh lucky girl hai kon? Jasus 006 bunty chalo kaam pe lago”
“006 ye kya hai?” bunty ne pucha.
“yaar james bond 007 me hu so tu mera assistant hai to tu hai 006”.
=====================================================================================
2 din baad Raju aur Prayas room me baithke project discuss kar rhe the tabhi Bunty bhagte bhagte room me aaya.
“Prayu, Prayu tumhe bahot important baat batani hai yaar tu sunke dang reh jayega”
“kya hua jaldi bata” Prayag ne curiosity se pucha.
“woh me Rahul par jasusi kar raha tha to maine dekha ke woh abhi thodi der pehle terrace pe apne ek frnd se baat kar rha tha ke…….
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Rahul’s frnd : yaar tu use batata kyu nahi apne dil ki baat?
Rahul : yaar kaise batau use? Jab bhi usse baate krne jata hu use pata nahi kya hojata hai kuch bahana bane ke bas use nikalna hota hai waha se. Is wajah se kabhi kabhi mujhe lagta hai ke janbujhkar usne mujhe avoid kiya hai, par fir kabhi kabhi kuch aisi baate hojati hai ke aisa lagta hai use me pasand hu. I dnt knw yaar uska behavior mujhe bahot confuse karta hai and sirf yahi reason hai me use kuch kehne se hichkichata hu.
Frnd: ohhh… waise kya naam hai us lucky person ka?
Rahul: Prayag, yahi mere niche wale apartment me rehta hai. Bada hi cute hai aur uski masumiyat and naughyness mujhe uski taraf hamesha attract karti hai yaar aisa lagta hai usise baate karta rahu dinraat.
Frnd : wowowow……. Rahul you are in love yaar that’s really great.
Rahul : ha par samajh nahi aata uske dil me kya hai isliye me kisike bhi samne uska jikr nahi karta. Pata hai usdin woh terrace pe basketball khel rha tha to me aaya usse baat karne ke liye par woh kaam ka bahana bana ke chala gaya. Jab bhi woh mujhe dikhta hai me khud approach krta hu use aur har baar pata nahi use kya hojata hai I feel like he avoids me aur fir uska raat bhar mera hath hath me leke hospital me sona…………. His behavior confuses me more… har baar me use palatke dekhta hu ki kahi woh mujhe dekh to nahi raha aur har baar woh kahi aur dekh rha hota…….but maine thhan liya hai ke kuch din wait karunga aur fir direct use apne dil ki baat bol dunga fir kuch bhi ho I dnt care… me uspe rely nahi kar sakta dumbo hai woh bahot bada… cute wala dumbo.. gussa bhi bahot aata hai aur nahi bhi aata…”
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
“oh my goodness…….omg omg omg omg…………aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa” Prayag itne jor se chillaya ke fir bahar se aunty uspe chillayi.
“omg Raju, omg Bunty mera…. Mera sapna pura hogaya….yessssssssss aaj me aaj me bahot jyada khush hu haayeeee mera sweetheart Rahul mujhse pyaar karta hai……. He loves me Raju….. he loves me Bunty…”
Bolte bolte Prayas ke aakhon me aansu aagaye aur Prayas ko dekhke Raju aur Bunty ki aankhe bhi nam hogayi.
“chalo yaar me to chala apne BF ko propose karne….. wowwwwwwwwwwwwwwwwwwww”
Prayag jaise hi jane laga Raju ne use rok liya. “ Prayu abhi mat ja Rahul se milne”
“kyu? Yaar mere life ka sabse bada sapna pura hone jarha hai aur tu mujhe rok kyu raha hai?”
“ are me bol rha hu ke tu use abhi propose mat kar… yaar tere life ka sabse bada sapna hai ye jo pura hone ja rha hai to ek naye rishte ki shuruat, bachpan se chal rhe is love ki shuruat kuch dhamake se honi chahiye na, something unique”
“matlab? Ab me kya karu?”
“Bunty mere jasus ise samjha tu”
“ dekh Prayu, Rahul roj sham ko Andheri se 6.35 ki churchgateki fast local train pakadta hai aur woh roj 1st class coach ke piche wale coach me chadhta hai, ye uska daily routine hai aur fir Dadar station pe aadhi train khali hojati hai.”
“ha to fir uska kya?” Prayas ne pucha.
“uska matlab ye ke tu Dadar se usi local me usi coach me chadhega aur waha train me sabke samne use propose karega aur fir woh ha bolega, tu use gift aur flowers dena aur fir churchgate utarke panipuri ek hi plate me khake ghar wapas aajana that’s simple…. Hwz my plan?” Raju ne excitement se pucha.
“omg guys yaar tumlogon ne itne jaldi itna soch liya, aur itni sari info bhi nikal di. Thanks alott yaar frnds ho to tum jaise I am so lucky to have you both yaar…. And plan is superb” bolte bolte Prayas ki aakhon me aansu aagaye aur usne Raju aur Bunty ko hug kar liya, “yaar aaj tumdono ki wajah se humdono ek hone ja rhe hai, thnk you soooooooo much yaaro”
“oye tu kuch jyada hi bade bade dialogs mar rha hai, tujhe Rahul hamari wajah se nahi apne achhai ki wajah se mil rha hai…. Tu itna achha hai na ki bhagwan ne teri wish sun li” Bunty ne Prayas ko samjhaya.
“ chalo chalo guys kaam karne hai bahot sare, Prayu should look perfect for his first proposal, so Prayu ye thode baal katwa le, and by god shave kar le kasam se bhalu lag rha hai, aur tere fav kapde pehenna kal aur ha gift lena mat bhuliyo… ek gift, chocolates and flowers… samajh gaya na?”
“hanji Love Guru, ye sab to kal karunga me abhi to filhal party timeeeeee……… lets have party guys… chalo marine drive pe maje karke aate hai aaj me Rahul ko nahi dekhunga kal hi I love you bolte time dekhunga use”
“ok ye bhi badhiya hai……… chalo lets have party…… char baj gaye lekin party abhi baki hai……”
Us puri raat Prayag excitement ki wajah se so nahi paya, us raat usne bollywood ke sare romantic songs download karke sun liye. Aur aise me hi puri raat gujar gayi. Aur fir aaya woh din jis din ka intezaar Prayag sadiyon se kar rha tha.
=====================================================================================
At evening :
“Yaar mujhe bada tention aarha hai pehle to bada excitement se fudak raha tha me aur ab tention, nervousness se mara ja rha hu ek to propose karna hai aur uper se pure coach ke samne hushhhh sochke hi meri heart beats badh rahi hai”
Prayag Dadar station pohochke Raju ke sath phone pe baat kar raha tha. Aaj uske life ka sabse important din tha. Usne apne fav cloths pehne the aur Rahul ke fav chocolates laye the sham ka pura plan ready tha par Rahul is surprise se bekhabar tha, use ye pata nahi tha ke aaj uski life me ek sabse badi khushi aanewali thi.
“yaar dar mat re lambi lambi saans le… aur jab train me chadhega na tab sirf uski aakhon me dekhna sara dar nikal jayega tera.. wow yaar aaj tu use train me propose karega kaash ye dekhne ke liye me waha hota…. Mere samne teri love story janm le rhi hai prayu me aaj bahot bahot bahot jyada khush hu…”
“thnx yaar Raju for everything…. Are sun train aarhi hai me tujhe baad me sab bataunga detail me ke train me kya hua…”
“are ruk ruk ruk……… headphone se baat kar rha hai na tu fir phone kyu rakhna hai tujhe phone tu shuru hi rakh cut mat kar jab tu propose karega na to mujhe Rahul ka expression uska ikraar sab sunna hai samjha” Ravi excitement se bol rha tha. Aaj har tarah bas khushi ka hi mahol tha.
“ok baba sun liyo” kehkar Prayag train me chadh gaya aur Rahul ko dhundhne laga tabhi use Rahul next door ke pass khada hua dikha.
“hey woh raha Rahul, dikh gaya mujhe…”
“very good, ab ja uske pass”
Yaar nahi mujhe bahot dar lag rha hai me nahi jaunga……. Sun na me wapas aata hu aur fir churchgate station pe milke use bol dunga na yaha bahot public hai yaar…”
“abe gadhe aisa mat kar aisa mauka bahot kam logon ko milta hai ja uske pass and sale maar khayega plan cancel kiya to… ja tujhe Rahul ki kasam…”
“ok me uske pass ja rha hu…”
“ hey Prayag tu aur yaha istime? Ghar ja rha hai na? waise kaha kaha gaya tha saj savar ke itna? Date marne gaya tha kya?” Rahul ne majak karna shuru kiya. Aur yaha Prayag ki nervousness badhne lagi.
“duffor bol……….” Raju ne phone se use chabi lagai.
“ Rahul me yaha tujhse baat karne ke liye hi aaya hu……. Mujhe tujhse kuch kehna hai”
“mujhse???? Ha bol na? kuch important?” Prayag ka dara hua chehra dekhkar Rahul bhi thoda sa dar gaya tha par overall use ek Idea aagaya tha ki kya honewala hai.
“actually Rahul woh mujhe kehna tha………… I……….. I………….. I…….I loveeeeeeee…………..”
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
“hello, hello, hello……… ohh fuck… ye phone main time pe cutgaya… fuck off fuck off saala sara excitement ek second me khatm… pata nahi waha kya horha hoga” phone achanak se cut hojane ki wajah se Ravi gusse me aagya tha.
“I know ye kanjus ne recharge nahi karwaya hoga..” kehkar Raju phone try karnelaga. Par Prayag ka call hi nahi lag rha tha.
“is kamine ko to ghar aane de achhe se class leta hu”
Tabhi Bunty bhagte bhagte Raju ke ghar aaya.
“Raju……..Raju…. kaha hai???” Bunty ki halat puri kharab thi, woh ghar ke hi kapdon me aaya tha baal khade ho chuke the mano kitne dino se kanghi nahi ki, pasine se puri body gili hogayi thi aur woh jor jor se chilla rha tha.
“ oye Mr Rajdhani express, itne jor se kyu chilla rha hai? Koi mar gaya kya….?” Raju ne Bunty ko chidate huye kaha.
“ haaaa………… haaaa Raju” Bunty ne aansu pochte huye kaha.
“ye kya bakwas kar rha hai??? Kya hua tu ro kyu rha hai bunty plz bata mera dil baitha ja rha hai”
“ Raju… Raju wohhhh… woh……. “ Bunty ke muh se awaaz nahi aarhi thi woh itna dard me tha.
“woh woh mat kar jaldi bol gadhe…”
“tv on kar Raju……”
Raju ne TV ON kiya,
“ Breaking news: Aaj Mumbai me ek ke baad ek 7 bomb ke dhamako se puri Mumbai hil gayi hai.
Local trains me huye in dhamako ki wajah se 150-200 logon ke maut ki aashanka hai…….”
7 dhamako me se ek dhamaka Prayag ke train ka tha ye news TV pe dekhkar Raju fut fut ke rone laga..
“ Bunty…. Bunty yaar aisa kaise hosakta hai yaar aaj Prayu ka sabse bada sapna pura honewala tha woh kitna khush tha woh nahi mar sakta woh isi din ke liye ji rha tha……….. woh nahi mar sakta woh nahi mar sakta……….”
“ Raju sambhal apne aap ko….. hamare dost ki prem kahani hamesha ke liye adhuri reh gayi yaar hamesha ke liyeeeeeeeeeee……..”
Raju aur bunty ek dusre ko hug karke jor jor se rone lage.
No comments:
Post a Comment